What is Antutu Benchmark : Score, App for Realme and Realme all devices Antutu Benchmark Score result



Agar aap Janna chahte Hain antutu benchmark kya hai iske kya use (istemaal) hai or Antutu Benchmark ke kya advantage or disadvantage hai to aap bilkul sahi jagah par aaye Hain. Yahan Par aap yeh bhi jaannenge ki Apne kisi bhi Android mobile ka AnTuTu benchmark kaise check karte Hain.
Is blog post ke andar main aapko realme 1 ka AnTuTu benchmark check Karke dikhaunga. Or sath hi sath aapko Realme ke sabhi mojudda devices ka Antutu benchmark score bhi mil jayga.
 
antutu benchmark realme 2 pro antutu benchmark realme 1 realme 1 antutu benchmark antutu benchmark realme antutu benchmark Realme C1 antutu benchmark Realme U1 antutu benchmark Realme 3 antutu benchmark Realme 2 antutu benchmark Realme 3 Pro



AnTuTu benchmark kya hai / What is Antutu Benchmark

Sidhe sabdho me baat Karen Antutu benchmark ek application hai jo kisi bhi mobile ke hardware ko uski aakhri limit Tak check karta hai. AnTuTu benchmark application mobile ko mushkil karya karne ko deta hai jab mobile ka CPU iss kaam ko karne ke liye apni Puri Shakti lagata Hai tu ja application uss mobile ke best performance ke score ko record karti hai.
Lekin alag alag sthiti mein yeah application kisi bhi particular mobile ke benchmark result ko alag alag dikha sakti hai. Or uss mobile ka antutu benchmark score alag alag climate conditions or alag alag load me test Kiya gaya ho to bhi ek hi mobile ka antutu becnchmark score thoda change ho sakta hai.


AnTuTu benchmark ko kisliye istemal karte Hain / Uses of Antutu benchmark app

AnTuTu benchmark application ko ham smartphone ke kuch test Jaise stress test, features tests, device testing aur device ke a performance ki ranking ko check karne ke liye istemaal karte Hain. AnTuTu benchmark application mobile ke har component jaise ki RAM, CPU, GPU, IO, UX ko check karta hai or sabko calculate karke ek final result deta hai.



AnTuTu benchmark application ke faydee / Advantages of Antutu Benchmark app

AnTuTu benchmark application ka mukhya fayda ye Hai ki kiske istemal se hum kisi bhi mobile ke ander ke components ki quality ko check kar sakte hain jab low quality component ka stress test kiya jata hai ya jyada load test kiya jata hai to mobile ke ander ke component garam ho jate Hain aur antutu benchmark score kam ho jata hai. Jab ki acchi quality ki component stress conditions main bhi heat nahin hote hain aur stress condition mein bhi better perform karte Hain.
 
AnTuTu benchmark kisi bhi mobile ka ek benchmarks score batata hai jisko hum dusre mobile ke sath compare Karke pata Laga sakte hain ki ye mobile ka hardware dusre kisi mobile ki hardware se achcha hai ya nahi.
Agar achha hai to Kitna achcha hai ye sare chije ham AnTuTu benchmark app ki madad se pata Laga sakte hain.


AnTuTu benchmark aur Anya benchmark application ke nuksan / Disadvantages of Antutu Benchmark app

Kuch mobile nirmata company apne mobile mein aise code Laga deti Hain Jo ki benchmark application ko aur bhi jyada support karte Hain aur benchmark score ko cheat karte Hain aur mobile ki acchi performance hone ka dawa karte Hain lekin unn mobile ki real life performance waisi nahin Hoti Hai jaise ki antutu benchmark score Mein dikhai padti hai.
Isiliye apse yahi kehna chahte hai ki kisi bhi mobile ko Antutu benchmark score se judge mat kijiye lekin itna jarur hai ki antutu benchmark score ki madad se aap kisi bhi moible ke harware or performance ke baare ek general idea jarur laga sakte hai.
 
 

Realme all mobile Antutu Benchmark Score

Antutu Benchmark Realme 1

3 GB + 32 GB Varient
Antutu Benchmark Score – 1,30,000
Performance
MediaTek Helio P60, Octa-Core (2.0 GHz)
+ Dual-Core AI Processor
Memory 3 GB + 32 GB, 4 GB + 64 GB, 6 GB + 128 GB
Expandable Triple Slot up to 256 GB

Antutu Benchmark Realme 2

3 GB + 32 GB Varient
Antutu Benchmark Score – 57,000
Features
Qualcomm Snapdragon 450 octa-core processor
14nm CPU technology
1.8Ghz frequency
3GB+32GB / 4GB+64GB
Storage expandable up to 256GB

Antutu Benchmark Realme C1

3 GB + 32 GB Varient
Antutu Benchmark Score – 57,000
Features
Qualcomm Snapdragon 450 Octa-core Processor
14nm Technology
1.8Ghz Frequency
2GB+16GB/2GB+32GB/3GB+32GB
Storage Expandable up to 256GB

Antutu Benchmark Realme 2 Pro

4 GB + 64 GB Varient
Antutu Benchmark Score – 1,40,000
Performance
CPU:Qualcomm Snapdragon 660 AIE Processor
CPU cores:Octa-core
CPU frequency:1.95GHz
GPU:Adreno GPU 512
Storage:4GB + 64GB / 6GB + 64GB / 8GB + 128GB
External Memory:Up to 256 GB

Antutu Benchmark Realme U1

Antutu Benchmark Score – 1,56,000
4 GB + 64 GB Varient
Performance
Processor: MediaTek Helio P70
CPU Type(s): ARM Cortex-A73x4, ARM Cortex-A53x4
CPU cores: Octa (8)
CPU frequency: Up to 2.1GHz
GPU: ARM Mali-G72
Storage: 3GB + 32GB / 4GB + 64GB
External Memory: Up to 256 GB

Antutu Benchmark Realme 3

Antutu Benchmark Score – 1,37,000
3 GB + 32 GB Varient
Performance
Processor: MediaTek Helio P70
CPU Type(s): ARM Cortex-A73x4, ARM Cortex-A53x4
CPU cores: Octa (8)
CPU frequency: Up to 2.1GHz
GPU: ARM Mali-G72
Storage: 3GB + 32GB / 4GB + 64GB
External Memory: Up to 256 GB

Antutu Benchmark App Download



Direct Downlaod Link
 
 
Google Play Store Link
 

Antutu Benchmark     Antutu Benchmark 3D

 
 
 

Conclusion

Antutu benchmark application ki madad se hum kisi bhi mobile ki antutu benchmark score pata Laga sakte hain aur uss mobile ki performance aur hardware components ke bare mein ham general idea Laga sakte hain ki uss mobile ki performance kaisi hai aur uske andar kis tarah ke components ka istemal Kiya gaya hai.
Lekin ham antutu benchmark score se kisi bhi smartphone ko judge nahi kar sakte, kyunki antutu benchmark score kabhi kabhi miss leading bhi ho sakta hai. Aur kai baar antutu benchmark applications hamare mobile ko jis tarah se check karte Hain Ho Sakta Hai hum apne mobile ko uss tarah se istemal hi na karte ho To aise mein acchi benchmark score wala mobile bhi hamare liye bekar sabit ho sakta hai.
Antutu benchmark score par Vishwas karne ki vajah aap kisi reputed blogger / website or YouTube channel par ya apne friends “Jo uss mobile ka istemal kar rahe ho jis mobile ko aap kharidna chahte Hain” ki madad le sakte hain.
 
Dosto ummid karte hai ki apko humara yeh blog post pasand aaya hoga or apko Antutu benchmark se judi kaafi jankari mili hogi. Or agar apke koi sujhav ya sawal hai to hume comment karke jarur batayen hum apke sawalo ke jawab dene ki puri kosis karenge or apke sujhav humare liye bahumulya hai, hum apke sujhavo par bhi amal karne ki puri kosis karenge.
 
 

Read More related Posts

Realme 3 Pro vs Redmi Note 7 Pro

OPPO REALME THEMES DOWNLOAD

Realme ColorOS 6 Release date

Realme 3 features and review

Realme ColorOS 6 features and review

OPPO & REALME ALL APPS DOWNLOAD

OPPO & REALME CUSTOM FONT STYLE CHANGE

Share to Spread the Love!

Leave a comment