Realme 3 Pro vs Redmi Note 7 Pro full Specification comparison

Realme 3 Pro vs Redmi Note 7 Pro full Specification comparison

Realme 3 Pro vs Redmi Note 7 Pro full Specification comparison: Agar aap Realme 3 Pro aur Redmi Note 7 Pro ke bich Mein specification comparison dekhna Chahte Hain to aap bilkul sahi jagah par Aaye Hain. Iss blog post ke andar aapko Realme 3 Pro aur Redmi Note 7 Pro ke sabhi specifications ke bich full comparison dekhne ko Milega. 

Sabse pahle Tu mai aap ko bata du ki xiaomi Ka redmi Note 7 Pro 13 March 2019 ko launch ho chuka hai aur Yahan Par Realme Ka  Realme 3 Pro 22 April 2019 ko launch hone wala hai. 

Aur jab Realme ka realme 3 launch hua tha to ussi samay Realme ke CEO Madhav Seth ne Tweet Karke bataya tha ki hum April me aisa phone launch karenge jo ki redmi ke redmi Note 7 Pro ko Takkar dega aur usse behtarin specifications ke sath aayega. 

To Yahan Par redmi Note 7 Pro aur realme 3 Pro Dono Ke Hai full specifications Ka Pata Chal chuka hai to Aise mein hum sabhi yeh jaanne ke ichuk hai ki kya vakai Mein realme ka realme 3 Pro Xiaomi ke redmi Note 7 Pro se Sabhi features ke mamle mein behtar hai ya nahin, ya fir redmi Note 7 Pro realme ke a Realme 3 Pro se behtar hai to aise me Sab jaanne ke liye aap Hamari post ko last Tak padiye. 

Realme 3 Pro vs Redmi Note 7 Pro full Specification comparison

Realme 3 pro vs redmi Note 7 Pro processor

Redmi Note 7 Pro qualcomm Snapdragon 675 Octa Core processor ke sath aata hai jo ki 2.0 GHz ki maximum frequency Tak kaam karta hai aur Qualcomm Snapdragon 675 Octa Core processor ke andar Adreno 612 ka GPU Lagaya gaya hai joki 845 MHz tak ki frequency tam kaam karta hai aur ek accha gaming experience deta hai. 

Realme 3 Pro ke andar qualcomm Snapdragon 710 processor Lagaya gaya hai joki 10nm ki Technology par kaam karta hai aur iski maximum clock speed 2.2 GHz hai. Qualcomm Snapdragon 710 64-bit architecture par aadharit hai .

Aur Iske andar Adreno 616 GPU Lagaya gaya hai isliye gaming ke mamle mein snapdragon 710, Snapdragon ke 675 processor se Kafi Behtar processor hai aur isiliye aapko realme 3 Pro ke andar gaming experience redmi Note 7 Pro ke Muqabla Kafi Behtar dekhne ko milta hai.


Also Read:
Snapdragon 675  vs Snapdragon 710 SoC full Comparison
Realme 3 vs Redmi Note 7 Full Comparison


Realme 3 Pro all Specifications

Realme 3 Por vs redmi Note 7 Pro camera

Redmi Note 7 pro camera

Rear camera : Redmi Note 7 Pro ke andar Hamein 48 megapixel + 5 megapixel artificial intelligence based dual rear camera dekhne Ko Milta Hai aur rear camera ke andar aapko AI portrait mode, background blurring, study handheld Night photography, single tone flash, low light enhancement, standard HDR, auto HDR, video stabilization, burst mode, panorama mode, face recognition, dynamic bokeh, Studio light Jaise Sabhi features dekhne Ko Mil Jayenge.

Aur saath saath aap Iske andar 4K video recording bhi kar sakte hain aur slow motion video recording bhi redmi Note 7 Pro ka rear camera support karta hai.

Front camera : Redmi Note 7 Pro ke andar 13 megapixel ka front facing camera dekhne Ko Milta Hai jo Ki AI portrait mode, background blurring, face recognition, selfie timer, HDR, Studio lighting Jaise features ko support karta hai. 

Realme 3 Pro camera

Rear camera : Realme 3 Pro ke andar Hamein 16 megapixel + 5 megapixel ka dual rear camera Mil Jayega. realme 3 Pro ke andar hamein Sony ka sensor dekhne Ko Milta Hai jo Hamein oneplus 6t mobile ke andar dekhne Ko Milta Hai, to Aise Mein realme ka camera Kasfi behtarin hone wala hai. 

Realme ka rear camera PADF, fast focusing, nightscape mode, hybrid HDR, Chroma Boost, portrait mode, Nightscape mode, jaise behtarin features ko support karta hai aur iss camera ke andar aap 4K video recording kar sakte hain, iske andar aap google lens Install kar sakte hain realme 3 Pro ke andar Cam2Api by default enable karke de Jayegi jiski madad se aap camera ke sabhi manual features ko bade hi aasani se istemal kar sakte hain. 

Front camera : Realme 3 Pro ke andar hamein 25 megapixel ka artificial intelligence based front camera dekhne ko Milta hai jo camera Hamein realme U1 ke andar dekhne Ko Milta Hai.

Realme 3 Pro ke andar 25 megapixel Sony flagship IMX576 sensor dekhne ko Milega jiski madat se aap kafi behtarin photo click kar sakte hain. realme 3 Pro ka front camera bokeh effect, chroma Boost jaise features ko support karta hai. 


Realme 3 Pro vs redmi Note 7 Pro charging support

Redmi Note 7 Pro charger : Redmi Note 7 Pro ke andar qualcomm quick charge 4 ka support Diya gaya hai joki type C port ki madad se redmi Note 7 Pro ko charge Karega.

Yahan Par redmi Note 7 Pro fast / quick charging support karta hai lekin quick charging ke feature ko istemal karne ke liye aap ko alag se ek fast charger purchase karna padega. redmi Note 7 Pro ke box ke andar Jo  charger aata hai Woh ek normal 5V 2A charger hai jo ki fast charging nahin karta hai. 

Realme 3 Pro charging support
Realme 3 Pro ke andar oppo ki latest charging Technology VOOC mil Jayegi jo ki nayi aur behtarin Technology hai. Oppo ki yeah VOOC Technology micro USB port ki madad se hi mobile ko charge karti hai. 

Realme 3 Pro ke andar apko type C port ka support nahi milega fir Bhi aapko Yahan Par fast charging ka support milega aur aapko realme 3 Pro ke box Ke Andar hai ek fast charger bhi dekhne ko milega isliye aapko redmi Note 7 Pro Ki Tarah hai fast charger alag se purchase karne ki koi jarurat nahi padegi.


Realme 3 Pro vs redmi Note 7 Pro battery backup

Redmi Note 7 Pro battery backup : Redmi Note 7 Pro ke andar 4000 mAh ki battery Di Gayi Hai jo ki fast charging support karti hai aur ek accha battery backup pradhan karti hai. 

Realme 3 Pro battery Backup : Realme 3 Pro ke andar 4230 mAh ki battery dekhne ko milti hai jo ki Oppo ki VOOC fast charging Technology ko support karti hai. realme 3 Pro ka battery backup kaafi kmaal ka hone wala hai. 

Realme 3 Pro ke andar redmi Note 7 Pro behtar processor hone ki vajah se battery management bi achha hoga aur power consumption bhi kaam hoga jiski vajah se battery ke mamle mein realme 3 Pro redmi Note 7 Pro se behtarin hone wala hai. 



Realme 3 Pro versus redmi Note 7 Pro design and build quality

Design aur build quality ke mamle mein redmi Note 7 Pro aur realme 3 Pro dono hi lagbhag Ek Saman hai yahan Par redmi Note 7 Pro ke andar corning Gorilla Glass 5 ka support dekhne Ko Mil jayega or realme 3 Pro ke andar  bhi corning Gorilla Glass 5 ka protection dekhne ko Milega. 

Aur Kai mamle mein realme 3 Pro ka design aur look redmi Note 7 Pro se behtar hone wala hai. Realme 3 Pro ka design realme ke Pichle model realme 3 ke jaisa hi hone wala hai aur realme 3 ka design aur look Kafi behtarin hai. 


Realme 3 pro versus redmi Note 7 Pro software

Redmi Note 7 Pro software : Redmi Note 7 Pro ke andar Xiaomi ka MiUi 10 dekhne Ko Milta Hai yahan Par Xiaomi ka MiUi 10 apne aap Mein Ek bahut hi behtarin user-interface hai aur lagbhag no bugs user interface hai. Xiaomi ka MiUi 10 bahut hi jyada customisation ke saath Aata Hai aur uske andar Kafi cool aur Jaruri features Hamein mil Jaate Hain. 

Xiaomi ka MiUi 10 ke andar sirf aur sirf ek hi Kami aati Hai jo hai annoying advertisement. Sirf aur sirf annoying advertisement Xiaomi ka MiUi 10 impression ko kharab kar deti Hain. Xiaomi ka MiUi 10 google ke latest operating system version android Pie (9) par kaam karta hai.


Realme 3 Pro software : Realme 3 Pro ke andar oppo ka Color OS 6 user interface dekhne Ko Milta Hai. Color OS 6 iske pichle version color OS 5.2 ke mukable kaafi behtar hai. Oppo ne Yahan Par color OS 6 Mein kaafi Sare improvement Kiye Hain aur Jiski wajah se color OS 6, MiUi 10 ko kadi takkar De Takkar deta hai. 

Yahan Par realme 3 Pro mein aane wale color OS 6 ki Khaas Baat ye hai ki Iske andar Hamein koi bhi annoying advertisement dekhne ko nahi milegi jo ke iss user interface ko ek behtarin user interface banati hai. Oppo ka color OS 6 user interface google ke latest operating system android Pie (9) par based hai. 



Realme 3 Pro vs redmi Note 7 Pro sensors

Redmi Note 7 Pro sensors : Redmi Note 7 Pro ke andar gyroscope, accelerometer, proximity sensor, electronic compass, fingerprint sensor, ambient light sensor, vibration motor or IR blaster ka sport Mil Jayega. 


Realme 3 Pro sensors : Realme 3 Pro ke andar magnetic sensor, fingerprint sensor, gravity sensor, light and proximity sensor, accelerometer senso,r OTG support mil jaega. lekin Yahan Par realme 3 Pro ke andar iR blaster ka support Nahin Milta Hai.

CLICK HERE for Xiaomi Redmi Note 7 Pro vs Realme 3 Pro Antutu Benchmark Score.


CONCLUSION

Dosto is blog post ke andar Humne realme 3 Pro vs redmi Note 7 Pro ke sabhi specifications ko compare Kiya aur kuch jagah par yahan par hai realme 3 Pro winner hai aur kuch aspects mein redmi Note 7 Pro winner hai lekin clear winner Koi Bhi Nahin Hai. 

Clear winner Keval realme 3 pro ki launch ke baad Hai Humko Pata chalega kyunki agar realme 3 Pro ke camera redmi Note 7 Pro ke camera se batter perform Karte Hain to Yahan Par realme 3 Pro redmi Note 7 Pro se clear winner ho jayega, kyunki processing aur gaming performance ke mamle Mein Yahan Par realme 3 Pro clear winner hai.

Aur Sathi sath realme 3 Pro ka battery backup Redmi Note 7 Pro se batter hone wala hai aur software ke mamle mein Dono Hai mobile behtarin software ke sath Aate Hain. 

Dosto ummid Karte Hain Ki aapko Hamara ya blog post Pasand Aaya hoga agar apke Koi sujhav ya pareshan hai to Hame comment Karke Jarur Bataye aur aapki Najar Mein Yahan Par kaun acha mobile hai aur kis product ko Aap Purchase karna chahte hain Hamein Ye bhi comment box Mein Jarur Bataye.


MORE RELATED POSTS

OPPO REALME THEMES DOWNLOAD

Realme ColorOS 6 Release date


Realme 3 features and review

Realme ColorOS 6 features and review

OPPO & REALME ALL APPS DOWNLOAD

OPPO & REALME CUSTOM FONT STYLE CHANGE


COLOROS THEMES & THEME STORE DOWNLOAD

Share to Spread the Love!

1 thought on “Realme 3 Pro vs Redmi Note 7 Pro full Specification comparison”

Leave a comment