CM HELPLINE ALL STATES : Agar aap apne state ke CM (Chief Minister) ko Sidhe Koi complained karna chahte hain aur aur aap uske liye CM helpline contact number Khoj rahe hain ya fir aap online CM helpline website par hi apni complaint lodge karna chahte hain to aap bilkul sahi jagah par Aaye Hain Yahan Par aapko Bharat ke sabhi states ke CM helpline website link aur contact number, address bhi mil jaega aur aap ke Rajya se Judi kuch important number bhi Mil Jayenge.
Har Rajya ke CM helpline number alag hai aur Unki website ke web address bhi alag alag Hain isliye internet par unko Khojne mai kafi dikkato ka Samna karna padta hai lekin aap Yahan Par Unn sabhi helpline number ko aur CM helpline official website ke Link ko Neeche click Karke open kar sakte hain.
Ya fir agar aap Yahan Par CM ko complain nahin karna chahte hain aur apne Rajya (state) or uske CM se Judi Jankari Chahte Hain or Apne Rajya mein chal rahi Yojana ki jankari chahte hain to bhi yah post aapke liye bahut hi labhkari Hogi.
CM helpline haryana
CM helpline Haryana official website ke andar aap apni Shikayat darj kar sakte hain aur used directly Haryana CM Tak pahuncha sakte hain apne a Shikayat ke a Jankari ka status live check kar sakte hain aur Yahan Par aapko sarkari Daftar ok contact number ok contact number Mil Jayenge.
Click Here for Haryana all Govt. department contact numbers. CM helpline Uttar Pradesh
CM helpline Uttar Pradesh ki official website ke andar aap apne Rajya Ki Sabhi Jankari prapt kar sakte hain. Aap aapne Rajya ke sabhi mantriyon ke bare mein Jankari prapt kar sakte hain, apne Rajya mein chal rahi hai Sabhi Yojana ki jankari prapt kar sakte hain, iske andar aap ko photo gallery, video gallery ki Suvidha bhi Mil Jayenge aur is website ke andar aap apne complaint Sidhe Apne Rajya ke Mukhyamantri se kar sakte hain tatha aap apni complaint ko 1076 par Sidhe Uttar Pradesh CM helpline number par kar sakte hain.
CM Helpline tollfree number – 1076
CM helpline Punjab
CM helpline Punjab official website par aap apni kisi bhi problem ko Punjab ke CM (Chief Minister) Tak pahuncha sakte hain uske liye aapko Ek registration form bharna padega jis mein aap ko apni complaint ke bare mein Kuchh Jaroori Jankari dene Honge Juda Apne contact number vgera dene Honge, is website Ke Andar CM ko complained book karne ke alava aapko Koi Aur Jankari nahi milegi.
CM helpline New Delhi
CM helpline New Delhi ke andar aapko Delhi se Judi coffee Jankari mil Jayegi tatha aap apni Kisi bhi sujhav ya FIR dikkat ko Sidhe cM ko email Kar Ke pahuncha sakte hain uske andar apko email address Mil Jayega Jo Sidha CM office tak aap ki jankari pahuncha dega.
CM helpline Bihar
CM helpline Bihar official website ek Sadharan se website hai jiske andar aap apna koi bhi petition submit kar sakte hain uske liye aapko Apne petition ki scanned copy upload karni padegi or usKe Baad aap aapne petition ki sthiti ko is website par Jaan sakte hain.
Bihar Website
CM helpline Chhattisgarh
CM helpline Chhattisgarh official website par aap apni Kisi bhi complaint ko love Karke directly Apne state ke CM Tak pahuncha sakte hain aur uski sthiti ki jankari prapt kar sakte hain iske Alawa aapko Yahan Par aapke Rajye se judi Kaafi Jaroori Jankari bhi Mil Jayenge.
CM helpline jharkhand
CM helpline jharkhand official website par aap Jharkhand se Judi nayi Yojna ke bare mein Jankari prapt kar sakte hain shaadi shaadi Yahan Par contact Uske option Mein jagah aapko CM office ka address email address mobile number fax number aur location Nithya Mil Jayenge lekin Yahan Par Keh Gayi complain par karvaya hoge iski Koi guarantee nahi hai.
Jharkhand Website
CM helpline west Bengal
CM helpline West Bengal official website ke andar aap apne Rajya se Judi Sabhi Jankari prapt kar sakte hain lekin Yahan Par aap apne Kisi bhi complaint ko Sidhe mukhyamantri Tak Nahi pahuncha sakte hain parantu is website ke andar apko CM ka address aur unko contact karne ke liye Jaruri phone number bhi Mil Jayenge.
CM helpline Assam
CM helpline Assam official website abhi tak under construction hai iske Upar kaam chal raha hai jaise iska kaam pura Ho Jata Hai Isko launch kar diya Jayega.
CM helpline Arunachal Pradesh
CM helpline Arunachal Pradesh official website bahut acchi website hai Iske andar bahut sari jankari upload ki Gayi Hai aur yah website lagatar update ki Jati Hai is website ke andar apko arunachal tourism, biodiversity, directory, arunachal ka culture, arunachal ki government ke bare mein, Arunachal pradesh ke alag alag department ke bare mein Sabhi Jankari unke contact number, location aur fax number ke sath mil jayegi, iske Alawa arunachal Pradesh official website ke andar aapko Govt. Services jese – aadhar, e-tenders, education service, Railway reservation Jaisi e-services bhi Mil Jayenge.
CM helpline rajasthan
CM helpline Rajasthan official website ke andar aap apne Kisi Ki complaint ko register Karke sidhe Apne Rajya ke Mukhyamantri Tak pahuncha sakte hain tatha complain book karne ke bad apni complaint Ki sthiti Bhi Jaan sakte hain. Aur aap 181 hai par call Karke bhi apni pareshani ko Sidhe rajasthan ke Mukhyamantri Tak pahuncha sakte hain, 181 toll free number hai.
Rajasthan CM Helpline tollfree number – 181
CM helpline madhya Pradesh
CM helpline Madhya Pradesh, madhya Pradesh sarkar dwara Jari ki Gayi Ek bahut hi achi website hai jiske andar aap ko madhya Pradesh Sarkar ki Sabhi Yojana ki jankari, bharat Sarkar ki Jaruri Yojana ki jankari bade aasani se mil Jayegi saath saath Aap Yahan Par aap apni kisi bhi Shikayat ko Sidhe apne Rajya ke Mukhyamantri se kar sakte hain aur apne Shikayat ki sthiti ko Bhi Jaan sakte hain.
Madhya Pradesh Website
CM helpline maharashtra
CM helpline Maharashtra official website par aap apni Kisi bhi complaint ko directly Maharashtra ke CM Tak pahuncha sakte hain. is website par aap koi bhi apni complaint online lodge kar sakte hain aur uski sthiti Bhi Jaan sakte hain iske alava is website par aapko maharashtra ke CM ki biography jaisi kuch Anya Jankari bhi Mil Jayenge.
Maharashtra Website
CM helpline Odisha
CM helpline Odisha official website ke andar aap apna koi bhi grievance / complaint online book kar sakte hain joki sidhe CM office Tak pahunchti Hai tatha aapke Dawara book ki Gayi complaint ki sthiti ki jankari bhi prapt kar sakte hain.
CM helpline Karnataka
CM helpline Karnataka official website kendra aapko karnataka se Judi Kafi sari Jankari mil Jayegi tatha Yahan Par aapko aap ke Rajya se Jude Jaruri contact numbers bhi Mil Jayenge jaise ki helping and children helpline senior citizen helpline suicide prevention helpline number ityadi.
CM helpline Andhra Pradesh
CM helpline Telangana
CM helpline Telangana official website par aapko Telangana se Judi Jankari Mil Jayenge, yahan Par aapko Telangana state ke alag alag department ke contact number ke bare mein Jankari mil Jayegi.
Telangana Website
CM helpline Tamilnadu
CM helpline Tamilnadu official website ke andar apko Tamilnadu se Judi kaafi Jankari mil Jayegi. aapko Iske andar Tamilnadu Ko janne Ka Kafi mauka milega yahan Par aapko tamilnadu ke Governor, chief minister, chief justice, secretary of government jaise bade bade pado par aaseen logo ke address, email address aur office phone number Mil Jayenge. sath hi sath is website ke andar apko tamilNadu press release jankari aur announcement aur Tamilnadu ke kuch services ke bare mein bhi Jankari mil Jayegi.
CM helpline kerala
CM helpline Kerala official website ek achi website hai joki kerala ki regional language aur English Dono bhasha mein aur uske andar aap aapne kisi bhi complaint ko book Karke directly cM Tak pahuncha sakte hain aur Satish Satish website ke andar logo Dobara book complaint ki live jankari bhej de Gayi Hai
CM helpline Goa
CM helpline Goa official website ek bahut hi acchi website hai yahan par aapko Goa Tourism se Judi Kafi Jankari mil Jayegi is website ke andar aap Goa se related koi bhi search kar sakte hain yahan Par aapko goa Ko Jane Ke Liye Kavya sari cheeje Mil Jayenge goa Mein rukne ke liye Jagah mil Jayegi goa ke rules schemes gadget document or report orders aur circulation ke bare mein Jankari mil Jayegi agar aap Bura Mein Apna Koi business hai chalana Chahte Hain tu bhi aapko is website Ke Andar Ka Bhi Jankari mil Jayegi agar aap Goa ke Nagrik hain ya FIR student hai to aap ke liye alag se Iske andar Ko Diya gaya hai aap Yahan Par visit Kar Ke Karya sari Jankari prapt kar sakte hain.
CM helpline Gujarat
CM helpline Gujarat official website par aap koi bhi complaint book nahin kar sakte hai lekin Yahan Par aap gujarat ko Jaan sakte hain, Gujarat ki history Jaan sakte hain, gujarat Tourism ke bare main Yahan Par aapko Jankari mil Jayegi, gujarat culture aur Lifestyle Aur Klakariti ke bare main aapko yahan se Jankari mil Jayegi, gujarat ke bare main aapko Yahan Par Kafi magazines aur Gujarat ka weather ityadi ke bare mein Jankari mil Jayegi, yahan Par aapko Gujarat ka area, population, capital literacy rate, District ki jankari mil Jayegi. Gujarat ka literacy rate 79.31 percent hai joki Kaafi achi baat hai.
CM helpline Nagaland
CM helpline Nagaland official website well designed website hai, iskander aapko Nagaland se Judi bahut sari Jankari mil Jayegi. Is website ko bahut hi acchi Tarah Se organised Kiya gaya hai. Yahan Par aapko nagaland state se Jude forms online services jaise ki birth certificate death certificate duplicate certificate school registration jaisi services Mil Jayenge Yahan Par aap Nagaland ke acts and rules ke bare mein Jankari prapt kar sakte hain government ke a alag alag department ke bare mein Jankari prapt kar sakte hain aur Nagaland ki population and area districts hull City ka weather jaisi aur Vikas ki jankari prapt kar sakte hain Yahan Par aap RTI manual city pin codes STD codes aur bahut hai alag alag Kishan ki jankari bahut aasani se prapt kar sakte hain.
CM helpline Tripura
CM helpline Meghalaya
CM helpline mizoram
CM helpline Manipur