RealmeOS Name, Update, Launch Date & Features
REALME OS KYA HAI
Realme ke sabhi smartphone me jo Operating System (OS) or Software hai ho vo Realme ke Mother Brand Oppo ki dain hai. Jaisa ki hum sab jante hai ki Realme Oppo ka hi ek sub brand tha lekin abhi yeh ek independ brand ban gya hai or Oppo se alag ho gya hai. Lekin abhi bhi Realme ke paas apna khud ka Software (OS) nahi hai.
Realme ke sabhi devices ke ander Oppo ka User Interface (UI) Color OS diya gaya hai. Ab jab Oppo or Realme dono alag ho gaye hai to Realme ko lagta hai ki Realme ka khud ka Operating System (OS) hona chahiye to Realme ne apna khud ka OS banane ka plan kiya hai jo ki RealmeOS ke name se aane waala hai.

Sidhe sidhe kahe to RealmeOS, Oppo ke ColorOS ki trah hi Realme ka khud ka ek User Interface (UI) hone waala hai.
RealmeOS REAL OR FAKE
RealmeOS ke name se kaafi afwah faile hui hai ki jaldi hi Realme ka khud ka RealmeOS aane waala hai or Realme ne abhi tak officially kahi bhi announce nahi kiya hai ki Realme ka khud ka RealmeOS launch hone waala hai to aise me kis par bharosa kiya jaye. Kya in sabhi afwao par bharosa karna sahi hai ?
Mera manna hai ki kisi ki bhi baat par bharosa karna sahi nahi hai jab tak ki apni ankho se proof na dekh liya jaye. To iss blog ko padte rahiye mai proof ke sath aap sabke doubt clear karne waala hu.
Realme ne apne khud ke OS RealmeOS ke liye UKIPO (United Kingdom Intellectual Property Office) me trademark registration ke liye apply kiya hai. Aap niche diye gaye link par click karke RealmeOS trademark ke official registration form ko check kar sakte ho. Aur sath hi sath aap iss link ko open karke iska current registration status bhi check kar sakte ho.
RealmeOS Trademark Registration form status – Click Here to Check
RealmeOS KI JARURAT
Jab tak Realme Oppo ka ek sub-brand tha tab tak Realme ko ColorOS se koi problem nahi thi lekin jaise hi Realme Oppo se alag hua or Realme ne apni khud ki pahchan banayi ek teji se ubharte hue naye brand ke rup me to Realme ko lagne lga ki jab tak Realme Color OS par depend hai tab tak Realme independent brand kese ho sakta hai.
To Realme ne apne khud ke RealmeOS ko reality banane me jutt gya hai. RealmeOS ke astitav me aane ke kuch karan is parkar hai :-
To Realme ne apne khud ke RealmeOS ko reality banane me jutt gya hai. RealmeOS ke astitav me aane ke kuch karan is parkar hai :-
- Realme Oppo se alag ho chuka hai to Realme ab Oppo ke Color OS par depend nahi rahna chahta.
- Color OS ke ander kaafi saare bugs ka hona bhi Realme OS ke nirman ki badi vjah hai.
- Realme apne Brand ki alag pahchan banana chahta hai ek independent brand ke rup me. Realme ab udhar ke Color OS (UI) par dependent nahi rahna chahta.
- Realme users ka Color OS ke parti negative feedback hone ki vjah se RealmeOS ka janam lena iska ek karan hai.
- Color OS Oppo ki property hai isliye agar kisi Realme apne Users ke feedback ke baad Add karna ya fir hatana chahta hai to Realme ko Oppo se permission leni padti hai. Realme sirf apne views Oppo ke samne rakh sakta hai akhiri faisla Oppo ka CEO hi leta hai. Isliye Realme OS ko lakar Realme apne decisions khud lena chahta hai.
- Realme software ke mamle me Oppo ya fir Vivo se inspired nahi hai Realme yaha par MiUi se inspired hai or Realme MiUi jaisa hi Bugs free UI lekar aana chahta hai.
RealmeOS POWER TO USERS
Realme apne khud ke OS RealmeOS ko astitav me lakar apne users ko customization ke jyada avsar dena chahta hai. Realme chahta hai ki ek aise OS ka nirman kiya jaye jo kaafi lightweight, Flexible, smooth or superfast ho or sath hi sath jiske ander customization ke kaafi saare features ho.
To ye sab chije existing Color OS ke ander possible nahi hai. Kyoki Oppo apne users ko Custom ROM vgera flash karne ka koi moka nahi deta hai. Lekin iske viprit Realme me apne Realme 2 Pro mobile ke liye Bootloader unlock karne ka option de diya hai or Custom ROM developers ke liye kernel source code bhi release kar diya hai jisse unko Realme 2 Pro ke liye Custom ROM develop karne me aasani ho.
Or Realme apne sable pahle mobile Realme 1 ke liye bhi Bootloader unlock karne waala hai.

COMPETITION TO OTHER BRANDS
Realme ko launch hue abhi tak kuch hi mahine hue hai or Realme ne duniya-bhar me apni kaafi badi market bna li hai or Realme itni jaldi sirf 05 Mobile model launch karke hi purane famous brand jaise Xiaomi etc ko takkar dene laga hai.
Aise me agar Realme ko bade bade brands ko takkar dena hai to ek ache hardware ke sath sath ache software ko bhi develop karna hoga kyoki ek ache software ki power Realme ko Color OS se kabhi nhi mil sakti.
Color OS ek acha UI hai lekin itan bhi acha nahi hai jo ki Xiaomi ke MiUi jese Ui ko kadi takkar de sake to aise me Realme OS ka astitav me aana savbhavic si baat hai.

REALME OS LAUNCH DATE
Realme ne abhi kuch din pahle 24 Jan 2019 ko RealmeOS ke trademark ke liye apply kiya hai jo ki abhi (16 Feb 2019) tak approve ya register bhi nahi hua hai. RealmeOS ka Registration abhi tak examination me hai to aise me Realme OS ke develop hone or launch hone me kaafi time hai.
Realme abhi tak yahi announce karta aa raha hai ki realme ke sabhi mojuda devices ke liye Color OS 6.0 jo ki android Pie par adharit hone waali hai milegi or Color OS 6.0 ki update Realme ke devices ke liye Jun 2019 tak milegi.
To aise me Jun 2019 se pahle Realme OS ke baare me sochna bhi ek kalapna maatra hai. RealmeOS ke launch date ka sahi sahi anuman lagana kaafi muskil hai kyoki abhi to RealmeOS apne nirmaan ke bilkul suruvati dor me hai.
Fir bhi agar hum roughly andaja lagaye to RealmeOS ko launch hote hote 2020 aa jayega.

REALME OS SPECIALITY OR FEATURES
- RealmeOS Bloatware free or lightweight hone waala hai.
- RealmeOS stock android based ho sakta hai.
- RealmeOS ke stock android jaisa hone ke sath sath customization ke kaafi option lekar aa sakta hai. Realme ke jyadatar users Realme se aise hi RealmeOS ki demand kar rahe hai.
- RealmeOS Android Pie (9) version par hi aadharit hoga.
- RealmeOS feature rich or Bugs free OS hone waala hai.
- Kuch jankaro ki maane to RealmeOS apne suruvati dino me Color OS Jesa hi hone waala hai bs iska name hi Color OS se Realme OS kar diya jayega. Agar aisa hua to ye Realme Fans ke bahut hi disappoint karne waali baat ho jayegi.
- Color OS bhi apne suruvat ke dino me Apple ki IOS ki hi copy dikta tha lekin baad me improvements karte karte Color OS ne apni alag pahchan bna li.
CONCLUSION
RealmeOS ek kalpna maatr sabhad nahi hai. Realme ke devolopers apne experince se RealmeOS ke sapne ko hakikat me badalne me jutt gaye hai. Realme team apne fans or users se lagatar feedback le rahi hai – Realme community me bhi or Social media platforms par bhi or jaisa OS realme fans or realme user chahte hai vesa hi RealmeOS banane ki kosis kar rahi hai.
Lekin 2019 me RealmeOS ka launch hona ek kalapna maatr hi hai or Shayad RealmeOS 2020 me hi launch hoga. Aur aap sabhi padhko se umid karte hai ki apko humari yeh Blog Post kaafi pasand aayi hogi.
Lekin 2019 me RealmeOS ka launch hona ek kalapna maatr hi hai or Shayad RealmeOS 2020 me hi launch hoga. Aur aap sabhi padhko se umid karte hai ki apko humari yeh Blog Post kaafi pasand aayi hogi.