Oppo & Realme Font style change: Agar apke paas Oppo ya fir Realme ka koi bhi smartphone hai or uske ander aap ek hi font ko dekhkar presan ho chuke hai. Yaha par aapko realme font change or Oppo font style change apk mil jayegi.
Aur aap apne Oppo or Realme smartphone ke ander alag-alag font try karke apne phone ki look achi banana chahte ho to aap bilkul sahi jagah par aaye ho.
Yaha par apko Oppo or Realme ke smartphone ke liye 30 Font style download karne ke liye mil jayenge.
This post is about How to change the font in ColorOS based oppo and realme devices.
Also Read: Top 15 Font Style Change for Realme
Realme Font Change
Apne Oppo ya Realme ke kisi bhi smartphone ke ander font ko change karne ke liye koi bhi requirement nahi hai. Aap apne kisi bhi Oppo ya Realme ke smartphone ke ander bade hi aasani se font change kar sakte ho.
Apko apne Oppo ya Realme ke mobile ko ROOT karne ki koi bhi jarurat nahi hai. Aap bina Root kiye hi apne Oppo or Realme ke mobile me font change kar payenge.
Or sath hi sath apko kisi bhi third party app ko download karne ki bhi jarurat nahi hai. Or na hi meri batayi hui trick ko follow karke apke mobile me koi annoying advertisement aayenge.
Bas apko simple font file download karne ko milegi usko aapko download karne hai or install karna hai. Bss apko apne mobile me ek setting karni hogi. Realme ya oppo smartphone me font ko change karne ka procedure niche diya gaya hai.
Also Read: Top 05 Themes in Realme Theme Store
Realme Font Download
Realme font ko download karne ke liye apko upar click here par click karne hai or uske baad aap ek naye page par redirect ho jayenge jaha par apko kaafi saari file ke link mil jayenge.
Vaha se apko apni file ko selcet kar lena hai. Apko vaha par Font Oppo & Realme ke naam se file mil jayegi aur uske samne download link mil jayega.
Link ke upar click karke aapko apni file ka download kar lena hai. Keval 15 Seconds intejar ke baad apko sabhi files ko download karne ke liye link mil jayega. Vaha se aap apni font file or sath hi sath Realme themes ko bhi download kar payenge.
Also Read: Top 15 Font Style Change for Realme
Font Download Link
ColorOS Font Style Change
ColorOS Font installation
Unzip Oppo Realme Font File
Oppo ya Realme ke kisi bhi smartphone ke ander font install karne ke liye sabse pahle aapko font file ko UNZIP kar lena hai.
UNZIP karne ke liye apko apne mobile me built-in file manger ko open karna hai or downloads folder ke ander chale jana hai abhi aap jaise hi font file jisko humne download kiya hai uspar click karenge to automatically apke paas isko unzip karne ka option aa jayega.
Aapko bss start par click karna hai aur humari font zip file unzip ho jayegi or ek naya folder create ho jayega. Abhi jo naya folder open hua hai usko open kar lena hai. Aap dekhenge ki iske ander bahut saari files hai. Har ek file ek font hai.
Font Installation process in Oppo & Realme
- Realme font ko install karne ke liye sabse pahle font folder ke ander kisi bhi font par click karke usko install kar lijiye. Jab installation complete ho jaye to Done par click kar dijiye.
- Abhi aap apne realme mobile ki settings me aa jaiye or settings ke ander “Language & Region” ka option milega usko open kar lena hai or iske ander apko Region ka option milega usko select kar lena hai or Yaha par hume Default India select milega. Hume India ki jagah par Myanmar ko select kar lena hai or back par click karke settings ke main page par aa jana hai.
- Abhi settings ke ander hi hume Display & Brightness ka option mil jayega, iske ander hume abhi ek naya option “Support dial characters” ke naam se mil jayega. Hume isko enable kar lena hai, Jaise hi hum isko enable karenge humara font change ho jayega.
Also Read: Top 05 Themes in Realme Theme Store
Font Installation Video Guide
How to get back to default Font
Dosto agar apne jo naya font change kiya hai or naya font apko pasand nahi aaya or aap Realme ke default font jo built-in milta hai usko vapis set karna chahte hai to apko settings me Display & Brightness ke option ke ander jo naya option “Suppot dial characters” ke naam se mila tha usko disable kar dena hai.
Apka font fir se wahi purane waala ho jayega. Abhi aapko Language & Reagion ke ander jakar Region ko fir se India select kar lena hai.
Or aap chahe to settings me App Management ke ander apko CKA Fonts ke naam se ek app installed mil jayegi, iska data clear karke isko uninstall kar sakte hai. Esa karne se apka font completely uninstall ho jayega.
How to change other Custom Font Style
Iss ZIP file ke ander 30 alag-alag fonts hai, aap jisko bhi chahe apne Oppo ya Realme mobile ke ander install kar sakte hai. Lekin apko inko install karne se pahle bilkul bhi pata nahi chalega ki konse number ka font kesa dikhta hai.
To aise case me agar apne aisa font install kar liya hai jo aapko bilkul bhi pasand nahi hai to usko change karna chahte hai to apko settings ke ander jo hume custom font install karne ke baad naya option “Support dial character” ke naam se jo naya option mila tha usko disable karne hai.
Aur uske baad fir se file manger ke ander “Font Oppo Realme” folder ke ander jakar kisi dusre font ko install kar lena hai or fir se settings ke ander aakar “Display & Brightness” ke ander aakar naye option “Support Dail Character” ko enable kar dena hai, Aapka font change ho jayega.
Completely Uninstall custom Font Style
Agar kisi vjah se custom font apko bilkul bhi pasand nahi aate hai.
Aur aap custom fonts ko completely uninstall karke inka namonishan apne realme smartphone se mita dena chahte hai to aapko sabse pahle Settings me Display & Brightness ke ander jakar Support dial character ko disable kar dena hai or Language & Regions ke ander jakar India select kar lena hai.
Aab apko settings me App Management ke ander jana hai or CKA Fonts ke naam se installed app ka data clear karke usko uninstall kar dena hai. Apka font completely uninstall ho jayega.
Conclusion
Dosto asha karte hai ki apko humari ye Blog Post kaafi pasand aaya hoga or Apne apne Oppo or Realme smartphone ke liye font download kar liya hoga.
Apko is website ke ander Realme or Color OS se judi kaafi post mil jayegi aap unko bhi pad sakte hai. Aur abhi aapne jaana ki ColorOS par aadharit Oppo or Relame ke mobile ke ander Font style change kese karte hai.
More Related Posts