Realme 3 with Mediatek Helio P70 and Dual Rear Camera Confirmed

Realme 3 with Mediatek Helio P70 and Dual Rear Camera Confirmed

Realme 3 announced by Realme CEO Madhav Seth : Realme ke CEO Madhav Seth ne 21 Feb 2019 ko apne Official twitter account par announce kar diya hai ki Realme ka agla smartphone Realme 3 hone waala hai, jo ki jaldi hi release bhi kar diya jayega. Yaha par rumers ye bhi thi ki Realme ka agla device Realme A1 hone waala hai. 

Lekin abhi confirm ho chuka hai ki Realme ka agla device Realme 3 hi hone waala hai. Or Realme ka Realme 3 2019 ke Q1 (Quarter 1) me hi release kar diya jayega. Realme 3, 04 March 2019 ko release hoga ye confirm ho chuka hai.

Realme 3 with Mediatek Helio P70 and Dual Rear Camera Confirmed
Realme 3 with Mediatek Helio P70 and Dual Rear Camera Confirmed

Realme 3 Specifications

1. Realme 3 Processor

Realme ka anne waala Realme 3 mobile 02 Varients me launch kiya jayega ye bhi confirm ho chuka hai. Realme ne Android authority ko btaya hai ki Realme ka Global varient MediaTek ke Helio P60 SoC ke sath launch hoga jabki Realme 3 ka Indian version MediaTek ke hi Helio P70 SoC ke sath launch kiya jayega.
Realme MediaTek Helio P70 SoC ko apne pichle mobile Realme U1 me de chuka hai or Snapdragon 660 ko Realme 2 Pro me de chuka hai to yaha par Realme ne apne dono Mobile ke overall performance ko check karke pta lagaya hai ki MediaTek ka Helio P70, Snapdragon 660 SoC se 40% kam Power consumption karta hai or 30% Faster download speed support karta hai. Or sath hi sath 3% Batter CPU performance dete hue Heavy task me jyada suitable performance deta hai. To sayad isiliye Realme 3 ke Indian variant me hume Helio P70 dekhne ko milega ye Realme ke CEO Madhav Seth me apne Twitter account par confirm kar diya hai.

Realme 3 with Mediatek Helio P70 and Dual Rear Camera Confirmed

Realme 3 with Mediatek Helio P70 and Dual Rear Camera Confirmed


2. Realme 3 Combination of Realme 1 and Realme 2

Relame ka kahna hai ki Realme 3 apne purane variants Realme 1 or Realme 2 ka combination hone waala hai. Agar dusre sabdo me kahe to Realme 3 apne purane variant Realme 2 ka successor hone waala hai. To isiliye Realme 3 ke ander hume Realme 1 or Realme 2 ke best features and specifications dekhne ko mil jayenge or sath hi sath Realme 1 or Realme 2 ke Bugs or kamiyo ko Realme 3 me remove kar diya jayega.

Realme 3 with Mediatek Helio P70 and Dual Rear Camera Confirmed
Realme 3 with Mediatek Helio P70 and Dual Rear Camera Confirmed

3. Realme 3 Display and Design

Realme 3 ka Back design hume Realme 1 or Realme 2 ke jesa hi dekhne ko milega. Yani Realme 3 me hume Diamond cut back mil jayega. Jisme 15 alag alag tangent milenge jo diamond ki trah 15 different colors ko reflect karke ek diamond or star jesa look or feel denge. Realme 3 alag alag colors me hume dekhne ko mil jayega jese Diamond Blue, Diamond Black or Diamond Red.

4. Realme 3 Camera Front and Rear

Realme 3 ke liye kaafi pahle hume Rumors sunne ko mile the ki Realme 3 me 48 MP Camera ka support dekhne ko milega. Lekin Realme ke CEO Madhav Seth ne in Rumors ko kharij kar diya tha ki Realme ke devices me hum sirf dikhane ke liye ya publicity ke liye bda camera nahi dene waale hai. Realme chahta hai Realme ke sabh devices Best hardware or Best software ka perfect combination ho. Lekin as on date Realme ke pass 48 MP ko fully support karne ke liye softwares available nahi hai to Realme 3 ke ander hume sayad 48 MP ka camera bilkul bhi dekhne ko nahi milega. Lekin internet par kuch site abhi bhi dava kar rahi hai ki Realme 3 me hume 48 MP ka camera dekhne ko milega.
Yaha par Technical Puruji Website ke CEO ki maane to Realme 3 ke ander Dual Rear camera ka support milega. Lekin back me 48 MP camera bilkul bhi nahi milega. Realme 3 ke back me maximum 20 MP ka hi camera milega kyoki Helio P70 Dual camera me maximum 20MP + 16MP hi support karta hai. Lekin ho sakta hai ki Realme 3 front me hume ek bada camera dekhne ko mil jaye. Jo ki 48MP tak ho sakta hai.
Realme 3 me Rear camera dual camera rahega ye confirm ho chuka hai lekin MP abhi tak realme ne annaunce nahi kiya hai.

5. Realme 3 Battery Backup

Realme 3 ke ander hume 4230 mAh ki badi battery mil sakti hai kyoki Realme ka kahna hai ki Realme 3 apne purane varients Realme 1 or Realme 2 ka combination hone waala hai. Realme 2 me hume 4230 mAh ki badi battery dekhne ko milti hai. To yaha par yahi umid ki jaati hai ki Realme 3 ke ander Realme 2 ki battery fit kar di jayegi.Lekin yaha Realme 2 or Realme 3 ki battery brabar (4230 mAh) hone ke bawjud hume Realme 2 or Realme 3 ke backup me jamin aasman ka antar dekhne ko milega. Kyoki Realme 2 me Snapdragon 450 ka processor diya gya hai or Realme 3 ke Indian variant me hume MediaTek ka Helio P70 processor dekhne ko mil jayega, Helio P70 ek bahut hi powerful processor hai jo 12 nm ki technology par kam karta hai or AI (Artificial Intelligence) ko fully support karta hai.

Realme 3 With Android Pie (9)

Realme ne kuch din pahle hi announce kar diya tha ki Realme ke aane waale sabhi devices Android Pie (9) Android version ke sath aayenge or Realme ne haal hi me kuch din pahle apni community me ye bhi confirm kiya tha ki 2019 me aane waale agle sabhi smartphone Color OS 6.0 ki update ke sath launch honge.
To yaha par ye to confirm hai ki Realme ka Realme 3 Android Pie (9) Android version ke sath aayega or sath hi sath agar Realme apni baat par adig hai to Realme 3 Android Pie ke sath Color OS 6.0 ki update ke sath aayega.

Realme 3 Price

Halaki Realme ki taraf se Realme 3 ke price se judi koi announcement nahi hui hai. Lekin jese Realme apne har device ke ander kam kimat me ache features deta hai vese hi Realme 3 bhi ek value for money, Full Paisa vasul mobile phone hone waala hai. Or Realme 3 ke ander aane waala MediaTek Helio P70 processor hone ki vjah se Realme 3 kaafi affordable hoga. Realme 3 ka 4GB + 64GB waala variant hume 10,000 se 12,000 ki kimat me dekhne ko mil jayega.

Conclusion

Dosto pure internet par Realme 3 se judi itni jaankari or satik jankari sayad hi milegi. Umid karte hai ki apko humara yah blog post pasand aaya hoga. Or yaha par pure post ka nichod apko btaye to Realme 3 , Realme 1 or Realme 2 dono ka combination hai or Realme ka aane waala affordable or achi performance waala mobile hone waala hai. Realme apni galtiyo se sikh raha hai or apne har naye mobile ko behtar bnata ja raha hai. Realme ke sabhi mobile phone Value for money mobile hote hai. Or Power & Style ka great ghathjod hote hai.

More Related Posts

Share to Spread the Love!

Leave a comment