Realme U1 features and specifications


Realme U1 features and specifications

Realme U1 features and specifications :- Realme U1 Realme ka sabse latest or sabse jyada features wala mobile phone hai. Realme U1 september 2018 me release hua hai. Realme U1 25 megapixel selfie camera ke saath aata hai iske andar Sony flagship IMS 570 sensor ke sath aata hai.

Realme U1 me apko 13 + 2 MP dual rear camera ka support mil jata hai jo ki portrait lighting, slow motion video, bokeh effect support Karta Hai. Realme U1 ka 2MP ka camera depth sensor ka kaam karta hai jiske madat se kaafi ache bokeh effects image capture kar sakte hai.

Realme U1 ki display ki baat kare to iski screen 6.3 inches full HD plus LPT IPS display Hai Realme U1 screen ka resolution 2340 x 1080 pixels Hai Realme U1 ka screen to body ratio 9.8% hai aur Realme U1 ki display ko protect karne ke liye 2.5 D Gorilla glass 3 diya gya hai aur iski screen ke pixel density 409p hai. Realme U1 ki display water drop notch wali display hai.

Realme U1 : Features, specification & Review

Realme U1 features and specifications

Also Download


Realme U1 ka 3GB 32GB storage wala variant aapko 10,999 rupay ki keemat Mein mil jayega aur 4 GB 64 GB wala variant aapko 13,499 ki keemat me Mein mil jayega.

Realme U1 ke andar MediaTek helio P70 octa Core CPU Diya gaya hai jo ki 2.1 gigahertz ki frequency par kaam karta hai aur iske andar Mali G72 GPU Diya Gaya Hai. Realme U1 processing ke mamle me ek kaafi behtar android mobile hai to isliye apko heavy gameplay me bhi lag dekhne ko nahi milega. Mediatek helio p70 ka Antutu 7 Benchmark 1,45,021 hai jo ki Qualcom snapdragaon 660 se bhi jyada hai.

Realme U1 ke software part ke baare me baat kare to iske ander Android 8.0 (Oreo) version available hai jo ki Color OS 5.2 custom UI ki customizations ke sath aata hai. Color OS 5.2 ek pretty cool custom UI hai or iske ander kaafi features or customzation karne ki suvidha hai lekin fir bhi iski kuch limitations hai jaise ki isme kai saare bugs hai lekin Realme yaha par time to time apne sabhi devices ke update release karta rahta hai. 

Haal filhal me Realme ne apne Realme U1 device ke liye Jan 2019 me Color OS ki nayi update OTA ke dvara push karni suru kar di hai Realme ka kahna hai ki iski ye update Jan ke end tak har Realme U1 device ke liye available ho jaygi OTA ke dvara.

Agar aap isko manually download karna chahte hai to yaha se downlaod kar sakte hai :- Download Realme U1 Jan 2019 OTA update and flash manually

Or isko kaise apne Realme U1 devices me flash karna hai uske liye aap is video ko dekh sakte hai.
  • Aur Realme U1 ki specifications ki baat kare to isme 2 Nano SIM with dual standby 4G+4G Support karta hai aur iske andar dedicated MicroSD card slot Diya gaya hai jiski madat se aap iski memory ko of micro SD card lagakar 256 GB Tak expand kar sakte ho.
  • Realme U1 ke under 3500 mAh ki Li-ion polymer battery AI powermaster technology ke sath mil jati Hai jisse isko adhik battery backup me madat milti hai.
  • Aap Realme U1 ko Amazon, Flipkart or Realme ki official website se kharid sakte hai.

Conclusion :- Asha karte hai ki aapko Realme U1 se juda humara ye blog pasand aaya hoga agar aapke koi comment ya sujhav hai to mujhe niche comment karke jarur btaye hum aapke feedback ki madad se apne blog post ko or bhi behtar bnane ki kosis karenge.


Other Related Post link

Share to Spread the Love!

1 thought on “Realme U1 features and specifications”

  1. Realme 3 pro ka launcher realme u1 me kaise install kare yar..
    Uska launcher thoda achha laga.. Ap use uoload kardo plzz..

    Reply

Leave a comment