Best Value for Money mobile under 15000 in 2019 : Dosto agar apka budget 15,000 se kam hai or aap 15,000 se kam ki kimat ke ander ek behtreen paisa vasul value for money mobile 2019 me lena chahte hai to aap bilkul sahi jagah par aaye ho , Yaha par apko best value for money mobile under 15000 in 2019 ki puri ek list inke price ke hisab se ranking ke sath mil jayegi. Aapko bss inme se apna mobile choose karna hai or purchase kar lena hai. Bss apka kaam ban jayega.
1. Asus zenfone Max Pro M2
Asus zenfone Max Pro M2 Apne purane varient Asus zenfone Max Pro M1 ka hi successor variant hai. Asus zenfone Max Pro M2 ek mid range mobile phone hi jo ki Snapdragon 660 processor ke saath aata Hai uska purana variant zenfone Max Pro M1 Snapdragon 636 SOC ke sath aata hai usko yaha is new M2 Model me upgrade kar diya gaya hai abhi hum baat karte hain iske variant Asus zenfone Max Pro M2 ke andar premium glass sandwich design diya Gaya Hai Saath hi Saath pichle variant ke muqable isme screen to body ratio badha diya hai jo ki ek notch display ke saath aata Hai. Agar hum battery backup ki baat Karte Hain to Asus zenfone Max Pro M2 ke ander 5000 mAh ki battery di gayi hai.
Agar Yahan Par software ki hum baat karte hain to Asus zenfone Max Pro ke andar stock Android based software hai jo ki 8.1 Android par kaam karta hai aur iske front camera ki baat Karte Hain to front camera 13 megapixel ka hai aur rear camera 12 + 5 megapixel dual rear camera hai. Aur yeh 6.26 inches screen aur 4GB ram 64GB variant 14999 me aata hai. Aap isko flipkart se kharid sakte hai.
Realme 2 Pro Apne aap me Ek performance powerhouse mobile phone hai. Iski process karne ki chamta bahut adhik hai Or yeh 15000 se kam rupay ki keemat mein aane wala Qualcomm Snapdragon 660 processor wala mobile phone hai. iske ander aapko 3500 mAh ki battery bhi mil jayegi. Realme 2 Pro water drop notch waali display ke sath ata hai or iska body to screen ratio best hai. iske design ki hum baat karte hain to premium design hai. Aur iska rear camera 16 + 2 megapixel aur front camera 16 MP hai. Realme 2 Pro ka 4GB + 64GB waala varient 14,999 ki keemat me aata hai.
Agar Realme 2 Pro ke software ki hum baat karte hain to yeh Android 8.1 Oreo par aadharit Hai iski UI ki baat kare to uske andar ColorOS 5.2 UI hai jiske ander apko kaafi customizations mil jayengi. Isko aap Amazon se kharid sakte hai.
Honour 10 lite dewdrop notch display ke saath aata hai aur is honour 10 lite ke andar kirin 710 chipset installed hai. Honor 10 lite 24 megapixel ke front camera or 13+ 2 megapixel dual real Camera lgaya gya hai. Honour 10 lite ki battery backup ki baat karte to iski battery hai 3400 mAh battery installed hai. Honour 10 lite ke display pixels ki baat kare to 415 PPI pixel display hai.
Honour 10 lite ke software ki hum baat karte hain to honour 10 lite Android 9.0 Pie software ke sath aata Hai aur iske UI ki baat kare uske andar custom EMUI 9.0.1 Diya gaya hai honour 10 lite Apne Apne best value for money Android mobile hai for screen display 6.2 inches display hai aur iska kirin 710 chipset 2.2 GHz octa Core processor hai. Honour 10 lite processing ke mamle me ek damdar phone hai. Honour 10 lite apko 13,999 ki kimat me online mil jayega. Isko aap Amazon se kharid sakte hai.
Xiaomi redmi note 6 Pro apne aap Mein Ek popular smartphone hai. Aur yeh Ek achi screen aur splash resistant body or reliable performance wala mobile phone hai, Or yeh xiaomi redmi note 5 Pro se milte julte feature wala mobile phone hai. Xiaomi redmi note 6 Pro 4 camera waala phone hai jisme 2 camera front me or 2 camera rear side me mil jaate hai iska Dual front camera 20 + 2 megapixel or dual rear camera 12 + 5 megapixel Hai. Xiaomi redmi note 6 Pro 4000 mAh ki saktisali battery ke saath aata Hai agar processor ki hum Yahan Par baat kare toh Xiaomi redmi note 6 Pro me Snapdragon 636 ka processor Diya gaya hai isiliye yeh mobile xiaomi redmi note 5 Pro ka upgrade nahi hai kyunki xiaomi redmi note 5 Pro me Snapdragon 660 ka processor Diya gaya hai. Xiaomi redmi note 6 Pro ka screen display size 6.2 6 inches hai. Xiaomi redmi note 6 Pro 14,199 rupay ki keemat me 4GB + 64GB variant ke sath aata Hai. Isko aap Amazon se kharid sakte hai.
Realme U1 apne aap Mein kafi better phone hai yeh water drop notch wali display ke sath aata hai aur iska display size 6.3 inches Hai jo ki full HD+ display hai aur uske upar 2.5D Gorilla glass 3 protection Diya gaya hai yaha par iska 3GB 32GB variant aapko 11,999 ki keemat me mil jayega. Processor ki agar hum baat kare to iske ander MediaTek P70 processor milega jo 2.1 GHz ki frequency par kaam karta hai. Software ki agar hum Yahan Par baat kare toh iske andar 8.1 Oreo based Android version milega jo colour OS 5.2 operating system par kaam karta hai. Realme U1 ek camera centric phone hai iske under 25 megapixel AI based selfie camera lagaya Gaya Hai jisme Sony flagship IMX 576 sensor laga hua hai. Rear camera 13+ 2 megapixel hai jo ki portrait lighting, slow motion video recording or bokeh effect support karta hai aur saath saath iske andar aapko 3500 mAh ki battery mil jayegi. Isko aap Amazon se kharid sakte hai.
Asus zenfone Max Pro M1 ek best value for money devices hai jo ki 10,000 se kam ki keemat Mein aata Hai. Asus zenfone Max Pro M1 me Snapdragon 636 processor hai aur 5000 MH ki badi ho saktisali battery ke saath aata hai aur iske andar dual rear camera 13 + 5 megapixel laga hui hai aur 8 megapixel ka front camera hai. Asus zenfone Max Pro M1 5.99 inches ki badi display ke sath aata Hai. 9,999 rupay Mein iska 3GB + 32 GB wala variant aapko online mil jayega. Iske software ki baat ki jai toh uske andar Android 8.1 Oreo based software installed hai aur iska software close to stock Android hai isliye iske ander aapko bloatwares dekhne ko nahi milegi Jo ke Apne Apne Ek kafi acchi baat hai. isko aap Amazon ya iski official site se kharid sakte hai.
Honour 8X kaafi better features ke sath aata Hai iski apni price range 14999 rupay ki keemat mein. Honor 8x mobile phone ke andar hisilicon Kiran 710 SoC processor laga hua hai jo ki Apne Aap me Ek acha midrange processor hai Aur yeh ek choti notch ke display ke sath aata Hai iski display ka size 6.5 inches hai aur full HD+ IPS LCD display hai. Camera ke baat kare to 20 + 2 megapixel ke real camera ke saath aata hai aur iske andar 16 megapixel ka front camera installed hai. Battery backup ki baat ki to Honor 8x me 3750 mAh battery lagaye gayi Hai. Aur iska 4 GB + 64 GB wala variant 14,999 ki keemat Mein aata Hai. Isko aap Amazon se kharid sakte hai.
Realme 2 Realme ka doosra mobile phone hai. Realme ka sabse pehla mobile phone Realme1 tha lekin yaha par Realme2 Realme1 ka successor nahi hai prantu Realme 2 me Realme1 ke alawa kuch ache feature diye Gaye Hain Jo ki Realme 1 main nahi the Realme Oppo ka hi ek brand hai. Realme 2 11990 se kam ki keemat Mein 4 GB 64 GB ke sath aata hai. Iske andar Snapdragon 450 processor installed hai aur 13 + 2 megapixel rear camera, 8 megapixel front camera bhi mil jayega. Realme 2 6.2 inches gi baadi display ke saath aata Hai yeh Hai aur yah itni kam keemat me aane wala pahla mobile phone hai jo notch wali display ke sath aata hai. Realme 2 mobile ke launch hone ke kuch time Baad Hi iske 2 million se bhi jyada devices sell ho gayi. Aur yeh 4230 mAh battery ke sath aata Hai. Isko aap Amazon se kharid sakte hai.
Best Value for Money mobile under 15000 in 2019
9. Infinix note 5
Infinix note 5
Infinix note 5 affordable smartphone hai jo ki apni price range mein kafi accha mobile hai Aur yah 18:9 aspect ratio ki display ke sath ata hai aur iske display sandwich glass design ke saath aati hai. Yahan Par iske andar MediaTek ka MT6763T 2.3 GHz octa Core processor Diya Hai. infinix note 5 ke under 12 megapixel ka rear camera Diya Gaya Hai aur 16 megapixel front camera Diya gaya hai yaha par iski battery ki baat kare toh iske andar 4500 mAh ki badi battery Di gayi hai. Aur iska 3GB 32GB wala variant 8999 Mein aata Hai. Aur iski display ki agar hum baat kare toh iske display 5.99 inches display jo ki full HD+ display ke saath aati hai aur iske andar dual LED flash Diya Gaya Hai Aur iski sabse badi khaas baat yah h ki yah fast charging support karta hai. Isko aap Amazon se kharid sakte hai.
Moto G6 Moto G6 Apne Apne Ek kaafi accha dikhne wala smartphone hai yeh ek kaafi affordable smartphone Hai iski price range ke andar, aur uske display premium glass ki banai hui hai. Moto G6 Snapdragon 450 processor ke sath aata hai aur uske under 3000 mAh ki battery lagayi gayi hai aur uske andar dual rear camera setup a jo ki 12 + 5 megapixel rear camera aur 16 megapixel ka front camera diya gya hai. Moto G6 USB type c turbo fast charging ke sath aata hai aur iska 4 GB 64 GB wala variant 10999 main aapko mil jayega. Software ki agar aap se baat kare to Yah Android 8.0 Oreo stock Android par kaam karta hai aur isko app Android 9.0 Pie par filhal upgrade kar sakte hain. Moto G6 ki 5.7 inch ki full HD+ display hai. Isko aap Amazon se kharid sakte hai.